Pura Sawal: Aise shaks ke bare me shariat ka kya hukm hai Jo khud ko sunni bataye sari namaz sunni imam ke Peechhe padhe magar, kabhi kabhi Jumu'ah ki namaz Deobandi imam ke Peechhe padhe, to kya shaks Sunni he ya gumrah?
Kisi bhi gumrah firqe ke imam ke Peechhe namaz Padhna gunah hai fir chahe namaz e Jumu'ah ho ya Panjgana, agar jaiz hoti to sirf Jumu'ah hi nahi balki Sari namaz jaiz hoti isilye agar namaz nahi hogi To Jumu'ah bhi nahi hoga,
Agar ye deobandio ki kufriya ibrat se waqif nahi hai To zarur aisa shakhs gumrah hai jo Jumu'ah unke Peechhe padhe aur agar ye sach me sunni hai or deobandi ki kitab me jo Gustakhi likhi hai unse waqif bhi hai or uske bad bhi Jumu'ah unke Peechhe padhta hai to aisa shakhs kafir hai.
Kyunki kisi ke Peechhe namaz padhna is baat ki gawahi Hai ki wo imam ko musalman manta hai, agar musalman Nahi manta to namaz nahi padhta, jo jaan jaye ki Ashraf ali thanavi or deegar maulvi jin par Kufr ka fatwa hai wo gustakhi ke sabab kafir huye aur Fatawa Hassamul Harmain me hai ki Jo unke kufr me shak kare wo khud kafir hai.
Lihaza ye jo khud ko sunni batata hai, aur agar deobandio ke Kufr se waqif hai to aisa shakhs par fir se kalima padhna Farz hai, iske saare nek amal barbad ho gaye, aur nikah wala tha to, nikah bhi jata raha, Fir agar biwi rakhna chahe to, kalima padh kar nikah Kare, aur agar ye shaks fir bhi Jumu'ah deobandi ke Peechhe padhne se Baaz naa aye to musalmano par lazim hai ki Isse boycott kare, aur milna julna band kare, jab tak ye baaz Naa aye, tauba karke kalima naa padh le.