Bukhari ki Hadees e pak me aisi aurato par lanat farmai or ise Qayamat ki nishani me shumar farmaya ki akhri zamane me aurate apni bhawen ke baal nochengi,
Farmaya: (khulasa e ahadees e mubarka)
Jo aurat haseen banne ke liye bhaweno ke baal noche us par allah ki lanat hai, aur godne wali aur gudwane walio par bhi. isi tarah mardo ki wazeh banane walio par bhi... mu ke bal nochne walio par (allah ki banawat me tabdeeli karti hai)
Undatul Qari Sharah Bukhari me is hadis e pak ki sharah is tarah byan ki (khulasa)
Hadees me haseen banne ke liye lanat aai lihaza is qaid ka lihaz rakha jayega, yani koi khubsurat hai or mazeed khubsurat banne ke liye bhawen banwaye to is hadees ki zad me hai, lanat ke tehet hai. Aur agar kisi aurat ke bhawe is qadr hai ki jisse chehra badnuma lagta hai jisse rishte me rukawat ya farq aata ho ya rishta tutne ka khatra ho to is bad numai se bachne ke liye zaruratan aisa kare to harj nahi, magar niyat yahi ho ki badnumai se bachne ke liye naaki khubsurat dikhne ke liye
Aur agar aisi koi bat nahi mehez shohar ke liye aisa karegi to bhi gunahgar hogi, Allah aur uske rasool ki hukm me kisi ki ita'at jaiz nahi. Aur farmata hai tumhara rab apne kalam me ki: Rasool jo den lelo, jisse mana Karen, baaz raho.