Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Fatiha karna kiya hadees se sabit hai?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

11 May 2024

2 mins read

Fatiha karna kiya hadees se sabit hai?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Ji, haan fatiha karna hadees se sabit hai, aur musalmano ko janna chahiye ki akhir fatiha kis chiz ka naam hai bahut wahabi fatiha ke naam par sunni musalmano ko gumrah karne ki koshish karte hai, Haqeeqat me fatiha naam hai “isal e sawab” ka, yani musalman apne kisi bhi nek amal ka sawab kisi doosre zinda ya murda musalman ko isaal (transfer) kar sakta hai, jise urf e aam me fatiha kaha jata hai.

Hadees me kisi aur ki taraf se haj karne ka saboot bhi maujood hai isi tarah kisi aur ki taraf se namaz padhne ka saboot bhi, yani agar koi musalman koi nek kam kare, (maslan, namaz, sadqa, ya khana bana kar musalman ko khilyae, ya quran padh kar bakhshe.) ise hi fatiha kaha jata hai, aur jo deobandi kehte hai ki isal e sawab to jaiz hai magar khana age rakhna jaiz nahi, to unse kaha jaye ki thik hai aap khana age naa rakho magar fatiha to karo? 

Ab swab doosre ko pahuchta hai is byan me: 

Hadis shuabul iman: jab tum me se koi kuchh khairat kare, to chahiye use ki (kuch) apne maa bap ki taraf se kare, iska sawab unhe milega aur iske sawab me bhi koi kami naa hogi.

Hadis shuabul iman: murde ka haal qabr me doobte huye insan ki tarah hai, wo shiddat se intizar karta hai ki koi bap ya maa ya bhai ya dost ki dua usko pahuche, aur jab use dua pahuchti hai to wo uske liye duniya aur usme jo kuchh hai isse behtar hoti hai.

Ezan safah: 308 par hai: Jab koi shaks mayyit ko isal e sawab karta hai to jibrail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ use, noorani tabaq me rakh kar qabr ke kinare khade ho jate hai, or kehte hai, “aye qabr wale, ye tohfa tere ghar walo ne bheja hai qubool kar, aur ye sun kar wo khush hota hai aur uske padosi apni mehrumi par ghamgeen.

Kashf ul khifa me ek hadis naql hai: Jo qabaristan me 11 bar surah ikhlas padh kar murdo ko iska sawab pahuche to murdo ke sawab ke barabar bhejne wale ko bhi sawab milega.

Sunnan abu dawood me hai: Hazrat sa’ad bin ubada رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ne arz ki Ya Rasool Allah صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ meri maa ka intiqal ho gaya, kon sa sadqa afzal hai, farmaya PAANI unhone ek kunwa khudwaya aur kaha ye umm e sa’ad ke liye hai, 

Is hadis se bhi saf hai ki bad wafat kisi ki janib se nek amal kiya ja sakta hai, isliye musalman har juma ko meetha bana kar quran padhte hai aur us sab ka sawab apne marhoom ko bhejte hai, isi ka naam fatiha hai or to aur Huzoor (السالم عليه) ne khane ko samne rakh kar bhi quran padha hai aur usme barkat hui ye hadees bhi bukhari me maujood hai, ahle sunnat ke sare mamle or dalil ke liye kitab ja‐al haq ka padhna fayedemand hai.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments