Kisi ke qasm dene se qasam nahi hoti. Jab tak ye khud zuban se qasam naa khaye.
Doosre ke qasm dilane se qasam nahi hoti
Fatawa Alamgiri
Aur qasm kha kar tor dene se kaffara lazim ayega. Wo hai ghulam azad karna, Ya fir 10 misqeeno ko khana khilana, ya unko kapde pehnana aur agar aisa karne ki qudrat nahi rakhta toh 3 roze lagatar rakhe.
Magar yaad rahe kaffara usi waqt hai. Jab qasm ALLAH سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ya uske naam ya uski sifat ya Quran ki khai ho. ALLAH سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ or Quran ke alawa qasam, qasam nahi hoti or is qasam ke torne par kaffara nahi.
Yani teri qasam meri qasam, Jaan ki qasam, Maa ki qasam, bachcho ki qasam, Nabi ki qasm, Rasool ki qasm. Ye sab qasme nahi inpe koi kaffara nahi.