Qasm ki teen (3) qism hain
- Ghamoos
- Laghv
- Mun'aqidah
Agar kisi aisi cheez ke bare me qasm khai, Jo ho chuki hai, Ya ab hai. Ya nahi hui, Ya ab nahi. Magar qasm jhuthi hai.
Yani qasm khai ke zaid aa gaya. Or haqeeqat me zaid nahi aya to iski do surate hongi.
- Agar qasm khane wala janta tha ki zaid nahi aya or jhuthi qasm khai ki zaid aa gaya to ye Pehli qism ghamoos hai.
- Aurr agar kisi ne apne khayal se to sachi qasam khai magar haqeeqt me woh jhuthi hai. Magar isme jaan kar jhooth bolna shumar nahi magr khayal ghalt nikla. Jaise. Zaid ne kaha wo samne pathar hai or zaid bhi use pathar hi ghuman kar raha tha or bad me wo lakdi nikli to is qism ki qasm ko laghv kehte hai.
- Aur agar ainda yani future ke liye qasm khai ki ye kaam karunga ya nahi karunga to ise mun'aqeedah kehte hai.
Kaffare ki surat.
Ghamoos se sakht gunahgar hua toba lazim hai magr kaffara nahi.
Laghv se naa gunah na kaffara.
Mun'aqeedah qasam agar toori to kaffara lazim hai aur kuchh surato me gunahgar bhi hai.