Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Kya fark he ek deobandi aur wahabi me
Sikander Warsi
Sikander Warsi

25 Sep 2023

1 min read

Kya fark he ek deobandi aur wahabi me

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Dono ke jahannami hone me koi farq nahi Dono ke gumrah hone me bhi koi farq nahi.

Dono hi ke aqeede batil hai aur baz aqeede Quran sunnat or ijma ke khilaf hai, Fark itna hai.

Wahabi Muhammad Ibne Abdul Wahab ko apna peshwa manta hai Deobandi Ashraf Ali, Rashid ahmad wagera ko.

Wahabi charo me se kisi imam ka mukallid nahi Deobandi furui masail me imame azam ka mukallid hai.

Wahabi Quran hadis ke alawa ijma qiyas nahi manta Deobandi ijma or qiyas ko mante to hai magar amal me nahi late 

Dono hi gairullah se madad ke khilaf hai, Jabki khud inke buzurg iske qayal they.

Dono hi nabi ke gaib ka inkar karte hai, Jabki nabi lafz ka maina hi gaib ki khabar dene wala hai.

Wisal ke bad kisi wali nabi se madad ko dono shirk kehte hai Jabki Imam Ghazali farmate hai, 

Jisse hayat me madad talab ki jaati hai usse bad wisal Bhi madad lee jaa sakti hai.

Zyada jaankari ke liye Bahar E Shariat ka hissa :1 or Ja Alhaq kitab ka mutala mufeed hoga. ya fir agar short me janna hai hai toh ye post padhe Corrupt Beliefs of the Wahabi / Deobandhi Sect.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments