Pura Sawal: Rooh Marti he ya nahi jab qayamat aayegi to tamam dunya fana ho jayegi to jannat or dhozakh or rooh ka kya hoga?
Maut naam hai jism se rooh ka juda ho jana aur iska ye matlab nahi ki rooh bhi mar jayegi.
Jaise ki Faqih e islam Qazi e millat, Sadr us sharia bad ut‐tariqa Hazrat Allama maulana mufti mumahhad amjad ali azami رَحْمَةُ الله عليه Farmate hai:
Maut ke mayene rooh ka jism se juda ho jana hai Naa ye ki rooh marti ho, Jo rooh ko fana jaane bad‐mazhab hai.
Bahar e shariat Jild: 1 Page: 104
Jab Qayamat me duniya fana ho jayegi to dozakh or jannat ka bhi fana ho jane wali koi ibarat to meri nazar me nahi ayi, balki ye wo ghar hai jo hamesha ke liye hai jaha hamesha hamesha rehna hai.
Aur ye kabhi naa khatam hone wali jaga hai jo apne iman or amal ke mutabiq musalman or kafir ko di jayegi.