Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Kafir se taluk rakhna ya dosti karna kaisa
Sikander Warsi
Sikander Warsi

18 Sep 2023

1 min read

Kafir se taluk rakhna ya dosti karna kaisa

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: Hazrat agar hum kisi kafir se taluk rakhte hain ya dosti karte hain us ke ghar aate jate hain kha pi lete hain, Kya is me koi harz h ya nahi.

Zarur harj hai, bila majburi bhi unki taraf Qadam nahi badana chahiye, Or zarurat ye hoti hai, jaise dukan se saman Khareedna ya isi tarah ki or bhi, jise ulama kai Kitabo me byan kar chuke hain.

Aur bila wajah hi, kafir se mel jol khana peena Nahi chahiye, ki hadis me aya jo jis se mohabbat Rakhega uska anjam uke sath hoga, Jab koi kafir hai allah or rasool par iman hi nahi Lata to kaise hamari dosti usse ho sakti hai, aur khuda naa kare agar uske kisi kufr par razi ya khush Ho gaya ya kisi shirk ke program me shamil ho gaya aur us shirk par khushi ka izhar or razi raha to Zarur khud bhi kafir ho jayega. 

Aur mel jol rakhne walo ke liye bachna mushkil hai ki Aaj kal log duniya ki sharm se khuda ko naraz karne Wale kaam karne se Peechhe nahi hat’te Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ham sab ko seerat e Mustafa صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ pe sabit qadam rakh.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments