Mehndi aurat ki zeenat ka saman hai aur Aurat ki zeenat Kaa saman aurat hi ke liye hota hai islye jaiz hai, Balki baaz ulama ne bagair mehndi ke hath aurat Ke liye makruh likhaa hai ki ye mard se mushabihat Hai, aur mere nazdik bhi yahi sahi hai.
Mard ko mehndi lagana haram sirf hath paun nakhun Par hai, yani jaha aurat zeenat ke liye lagati hai to Mard us jagah zeenat ke liye nahi laga sakta, ki ye Aurat se mushabihat hai, Aur hadis me manahia hai.
Aur mard balo or daari pe mehndi laga sakta hai kyunki Aurat zeenat ke liye mehndi balo me istimal nahi karti. Yani mushbihat nahi hui aur kamar ya kandhe pe agar kharish wagera ke Liye mard mehndi lagaye to najaiz nahi hai ki ye zeenat maqsood Nahi or naa aisa jagah aurat se mushabihat.
Aur jo shadi me dulah ke hath or chungali pe mehndi lagate hai Wo HARAM hai, or jo ise sunnat batate hai, ALA darje ke jaahil.
Khulasa e kalam ye hai ki
Aurat ko mehndi isilye jaiz hai ki uski zeenat ka saman hai, Or mard ko haram islye ki ye aurat se mushabihat hai.