Pura Sawal: Agar aurte sone chandi ke bina artificial‐jewelry ya kuchh aur pehnti he kya us pe namaz nahi hoti hai?
Sadr Us Sharia Mufti Amjad Ali Azami farmate hain:
(sone chandi ke alawa) doosre dhaat ki anguthi pehnna haram hai maslan, loha petal, tamba jasta wagera, In dhaaton ki anghuthiya mard wa aurat dono ke liye Najaiz Hai.
Bahar e Shariat Jild: 3 Safah: 426
aur fir ya bhi likha hai
Loha wa tamba petal wa gilt ki anghuthi mard aurat dono ke liye Aur sone ki mardo ke liye najaiz wa haram Baz fuquah ne makruh likha hai lekin sahi yahi hai ki haram hai Inhe pehnkar namaz makruh tehrimi wajib ul iyada hogi,
Fatawa Bareily shareef
Tamba petal aur lohe ke zewraat pehn kar padhne se namaz Makruh tehrimi hogi.
Fatawa Faizur Rasool Jild: 1 Safah: 375
Khulasa e kalam ye hai ki, Sona chandi ke alawa kisi or dhaat ka zewar aurat ko Pehnna jaiz nahi hai aur agar use pehen kar namaz padhi jayegi to woh namaz fir se padhni hogi.