Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Kya Islam Mein Pant Shirt Pahanne Mana Hai?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

03 May 2024

1 min read

Kya Islam Mein Pant Shirt Pahanne Mana Hai?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Shariat me pant shirt pehnna mana THA par ab nahi or jab mana tha us waqt pant shirt me namaz padhna bhi jaiz nahi tha.

Jaisa ke Ala hazrat imam ahle sunnat likhte hain.

Patloon pehnna makruh hai aur makruh kapde se namaz bhi makruh
Fatawa Razawiyya Jild: 7 Safah: 302

Aur iske mana hone ki wajah ye thi ki gair qaum ka libas tha aur ye libas fasik o fajir ka tha or chunki pehle pant shirt angrezi pehnawe ki nishani thi, musalman ise istimal nahi karte the isilye ise pehen kar namaz makruh thi. 

Iske najaiz hone ki wajah byan karte hue, Ala hazrat ek or mukam par Fatawara Razawiyya Jild:7 Safa:309 par hai

Angrezi wazeh ke kapde pehnne haram shakht haram ashad haram, or ise pehn kar namaz makruh tehrimi kareeb ba‐haram wajib ul iyada.

Note: Yaad rakna chahiye Ala Hazrat ke ye fatwa us waqt hai ki jab angrezi hukumat thi magar ab daur badal gaya lihaza ye fatwa us waqt ke mutabik sahi tha or ab is par amal nahi (yani ab pant shirt pehnna haram nahi) kyunki ab pant shirt ka pehenna kisi khas Qom ka libas nahi, (magar ye aaj bhi fasik ka libas hai isse bezarurat pehnne se parhez hi karna chahiye,) lihaza ise maujooda hal me ise pehen kar ab namaz padhna jaiz hai, 

Fiqah ka ek Qaida hai “zamane ki tabdili ke sabad ahkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta.”

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments