Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Ya Ali Al-Madad Kehna Kaisa Hai?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

09 May 2024

1 min read

Ya Ali Al-Madad Kehna Kaisa Hai?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Ye sab kehna jaiz hai, aur Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke alawa gair se madad mangna shirk nahi jabki koi ye aqeeda naa rakhe ki khuda madad nahi karta ya nahi kar sakta tabhi gair se madad mangta hu warna shirk hoga.

Aur musalmano ka hargiz ye aqeeda nahi hota balke unka aqeeda ye hota hai ki ye Allah walo ko Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ne taqat aur madad par qudrat bakhshi hai or ye Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke diye se madad karte hai, Jo quran o hadis se sabit hai, 

Quran me tumhara Rab irshad farmata hai:

Madad talab karo sabar wa namaz se
Quran 2-153

Jabki namaz bhi khuda nahi gair khuda hai or naa sabr khuda hai.

Aur farmata hai tumhara Rab:

Apas me ek doosre ki madad karo, bhalai aur parhezgari par
Quran 5:2

 Imam bukhari ne Hazrat abu hurairah se riwayat kiya farmaya: Huzoor (السالم عليه) ne ‐ subha aur sham aur rat ke kuchh hisso me ibadat se madad talab karo

Ek aur hadis me farmaya “jab hajat talab karo khobsurat chehre walo se talabkaro”.

Aur farmaya almuazzam ulkabeer me “jab tum me se kisi ki koi chiz gum ho jaye, ya raah bhool jaye, aur madad chahe, aur aisi jagah ho jaha koi hamdam nahi, to use chahiye yun pukare ‘aye allah ke bando meri madad karo. 

Aye Allah ke bando meri madad karo ki Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ke kuchh bande hain jinhe ye nahi dekhta weh uski madad karenge,” (is hadis ko tabarani ne bhi naql kiya) 

Aur Imam Ghazali farmate hai: “jisse uski zindagi me madad mangi jaa sakti hai usse uske wisal ke bad bhi madad mangi jaa sakti hai” 

Aur mazeed dalil ke liye Fatawa Razawiyya Jild:21 Safah: 310 se padhna mufeed hoga.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments