Jannat Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ ki rehmat se milti hai, baqi ibadaat zariya Zarur hain magar guarantee nahi.
Aur aisa bhi nahi ki namazi waliden ka khidmat karne wala sidha jannat me jaye, magar Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ jise chahe aur iman pe khatima bhi zaruri hai.
To apne dil me ye khayal rakhna ki bas waliden ki khidmat Karo baki shariat ke ahkam ki pervi naa karo to bhi Jannat milegi ye jahalat hai.
Aurat ka bila wajeh sharai shohar ke khilaf ho jana ya mukhalifat karna ya hukm ko naa manna haram hai. Aisi aurat par lanat hai aur bais e narazgi e khuda hai. Magar ye unke aur unke Allah ka muamla hai.
Aulad par dono ki tazeem aur haq ada karna lazim hai. Aisa nahi ki unki apsi ladai me baap ko bhool jaye aur maa ka sath de. Aulad ko dono ke sath wahi rawaiya apnana hoga jo shariat ne hukm diya.
Dono ke haq bhi ada karne honge. Kewal maa ki khidmat karke aur baap ki haq talafi karke jannat ki ummid hamakat hogi.