Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Gair Muslim ko namaste / Hath jod kar namaste karna kesa hai ?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

14 Sep 2023

1 min read

Gair Muslim ko namaste / Hath jod kar namaste karna kesa hai ?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Namaste or namskaar ke maine Adab, tasleem, salam karna, wagera ke hote hai, Jaisa ki Firoz Ul Lughat Safah: 1379 Par Hai.

Ulama farmate hai, musalman kafir ko NAMASTE kahe Ye HARAM hai, Or kafir ke yahan ye shiar e tazeemi hai aur khas shiar e hunood hai to kisi kafir ko namaste nahi karna chahiye, Kyunki jab hadis me fasik ki tazeem ko mana kiya to kafir ki tazeem ki kaise ijazat hogi.

Islam ne musalmano ko apas me milte waqt salam Ki targeeb di or Huzoor e pak ne kafir or fasiko or gairo ke tarike se Bachne kahukm diya.

Ala Hazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa Razawiyya Jild: 22 Safah: :378 par likhte hai Kafir ko salam haram hai.

Or age likhte hai 

Kafir ya fasik ko salam karne ki sahi zarurat pesha aye to Lafz salam naa kahe naa koi aisa lafz jo tazimi naa ho.. Majboor ho to adab kahe (yani aa mere paun daab) 

Aur majburi ki halat me adab kehte waqt bhi dil me unki tazeem ki niyat nahi honi chahiye.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments