Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Namaz me hum dusri rakat me aaye aur imam ka wajib chhut gaya
Sikander Warsi
Sikander Warsi

12 Sep 2023

1 min read

Namaz me hum dusri rakat me aaye aur imam ka wajib chhut gaya

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: Zohar ki namaz me hum dusri rakat me aaye or imam ka wajib chhut gaya hai to kya hume bhi sajda sehev karna hoga ya nahi?

Ji Haan, agar imam sajda sahav karega to muqtadi ko Bhi karna hoga, isse kuchh gharaz nahi ki muqtadi ka Wajib chhuta ho ya nahi,

Fatawa Razawiyya Jild: 8 Safah: 180 me hai.

Sajda sahav tanha namaz wale par bhi wajib hai or Imam ki sehev ki wajah se muqtadi par bhi lazim

Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 715 par hai 

Imam se sahav hua aur sajda sahav kiya to muqtadi par bhi Sajda wajib hai chahe muqtadi sahav hone ke baad Jamat me shamil hua Kuchh satr(line) bad aage hai. 

Masbooq imam ke sath sajda sahav kare agrche uske shareek Hone se pehle sahav hua ho. Or agar imam ke sath sajda naa kiya aur baaqi padhne khara Ho gaya to akhir me sajda sahav kare.

Bahar E Shariat Jild: 1 Safah: 590 par hai

(masbooq) apni fot shuda padhne ke liye khada ho gya Aur imam ko sajda sahav karna hai, chahe uski iqtida se pehle wajib Tark hua ho to use hukm hai ke lot aye, agar apni rakat ka Sajda naa kar chuka ho aur naa lote to akhir me ye sajda sahav kare

 

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments