Pura Sawal: Kya Film Or TV Serial Ke Writer Ki Kamayi Halal Hai? Or Ise Masjid Ya Allah Ke Kaam Me Lagane Se Sawab Hasil Hoga?
Tamam tariff Allah izzat wale ki jisne apni muqaddas Kitab me halal aur haram ko wazeh kiya aur dost rakhta Hai suthro ko, azmat wala izzat wala, Aur croro durood, us azmat wale rasool e pak par jinhone Haram ke sath sath shubahat se bhi bachne ka hukm Diya taki muh dikhane ke qabil rahe kal qiyamat me Apne rab ke Huzoor or unki aal or ashab par, laakho salam ho.
Hadis e pak me farmaya
طلب الحالل واجب علی کل مسلم
Yani Halal rizq ki talab har musalman par wajib hai
Muhaddis Abdur Razzak ne apni musannaf main Naql kiya
Halal rozi talash karo kyunki halal rozi ki talash bhi, Allah ki raah me (1 guna) jihad hai, Aur jaan lo ke allah ki madad nek tajiro ke sath hai
Film banana serial banana yahan tak ke advertisement Jaise ki aaj kal behoodgi tv par aam hai, ye HARAM hai, Aur jo koi aisa kaam kare yani film ya serial banaye us par us waqt tak gunah hota rahega jab tak wo film wagera Duniya me jaha jaha dekhi jayegi or jab jab dekhi jayegi.
Us sab ka fardan fardan gunah bhi or sabhi logo ka gunah bhi Jab koi director film banata hai to zarur kisi writer ki likhi story par hi film banata hai, is tarah film serial wagera ke writer Ka kaam bhi HARAM hai, kyunki ye gunah par madad karna hai.
Quran pak me allah farmata hai,
Aur gunah or zyadati par ek doosre ki madad naa karo
Surah maida ayat 02
Fatawa Hindiyya Jild: 3 Safah: 451 par hai Gunah ke kaamo me kisi ki madad karna Kabeera Gunaho me shamil hai.
Jis tarike se sood ke khane wala gunahgar hai usi tarah Sood me har tarike se madad karne wala yaha tak ki Gawah bhi gunah gar hai.
Yani film me jo behooda bate dikhai jaati hai wo writer ne hi Likhi hoti hai, jaise ki
- Kab mard aurat ko pyar karna hai..
- Kab mard aurat ko nachna gana hai
- Kab mard aurat ko gale milna hai
- Aur yaha tak ke hambistari(suhagrat) ke seen bhi writer hi Likhta hai jiski buniyad par film tayyar hoti hai
To ye kaam kis tarah HALAL ho sakta hai, yani writer fesla Kar raha hai ki kaha ankho ka zina karwana hai Kaha nahi. Aur bhi behoda bate hai jisse sail khud waqif hoga.
Film writer ki kamai najaiz hone ka hukm is baat se bhi samjha Ja sakta hai ki, gaane aksar shayari ke qawaneen par Hi likhe jaate hai to kya gaane ka gunah kewal gaane wale Singer or music dene par hoga ya fir use likhne wale par bhi ?
Yaqeenan gaane me behooda alfaz, kufr shirk mojood hote hai To iska gunah likhne wale par bhi hoga, jis tarah gunah bhari Shayari likhna haram hai, kyunki baz sher me aurat ki zaat ko Khuda se badaya jaata hai, to kahi zaruriyat deen ka inkar, Beshak is tarah likhna gunah haram or baz dafa kufr hai, or Iski kamai ka kya hukm? Thik wese hi, writer ki kamai bhi jaiz nahi ho sakti Ek to khud ki likhi hui kahani najaiz or ye gunah ke Kaam me madad hai.
Ab raha haram kamai ko kisi nek kam me kharch karne ka Hukm to Baz ulama ne yaha tak farmaya ki. Haram maal faqeer ko de kar sawab ki ummid rakhna kufr hai.
Fatawa Alamgiri me hai
تصدق علی الفقير شيئا من المال الحرام
ويرجو الثواب کفر ولو علم بہ الفقير ودعالہ وامن المعطی کفرا؎
Yani ‐ Kisi ne haram maal se faqeer ko sadqa kiya or sawab Ki ummid karta hai, to kafir ho gaye, or agar faqeer ko Maloom ho ki ye maal haram hai, or uske bawajood usne Dene wale ko dua di or dene wale ne is par ameen kaha To dono kafir ho gaye,
Fatawa Zahiriyya me hai
رجل دفع الی فقير من المال الحرام شيئا يرجوا بہ الثواب يکفر
Yani ‐ Ek shaks ne faqeer ko maal e haram diya aur us par Usne sawab ki ummid rakhi to kafir ho jayega,
Balki jo maal najaiz tarike se hasil kiya jaye use wapas karna WAJIB hai, aur jis surat me faqeer ko dene ka hukm hai to wahan sawab ki ummid naa ki jaye, Ala Hazrat Imam Ahle Sunnat Shah Ahmad Raza Barelvi Fatawa Razawiyya Jild: 23 Safah: 582 par likhte hai.
Haram rupya kisi kam me lagana aslann jaiz nahi Nek kaam ho ya aur, siwa iske ki jis se liya usko wapas de Ya faqeer ko sadqa kare, or farmate hai sawab ki Ummid sakht haram hai
Allah t'ala musalmao ko halal khane kamane Or haram se bachne bachane ki tofiq or jazba Ata kare, or meri behisab maghfirat kare.