Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Kya sirf hafiz hi imam ko namaz ke dauran luqma de sakta hai?
Sikander Warsi
Sikander Warsi

02 Jan 2024

3 mins read

Kya sirf hafiz hi imam ko namaz ke dauran luqma de sakta hai?

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Suwal: Hamare ilaqe me taraweeh ke dauran ek shaks ne imam sahab Ko luqma diya, bad taravih logo ne etraz kiya or kaha ki Sirf hafiz hi hafiz ko luqma de sakta hai jo hafiz nahi wo Luqma nahi de sakta. Bataye kya sahi hai kya ghalat?

Jahalat ko dafa karta he jo ye Fatwa wahi hai Is byan me ki. Gair e hafiz ka, hafiz ko luqma dena sahi hai.

Luqma dene Wale ka hafiz hona shart nahi, agar ghalati Par kharabr‐dar hai to, luqma de sakta hai, Or qaum ka ye kehna ki hazif ko hafiz hi luqma de Sakta hai niri, jahalat ka saboot hai.

Kyuki, khud Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko baz moke par, Sahaba ne luqma diya to, ab un logo se ye Puchho ki nabi ko, gair‐nabi luqma de sakta hai, Magar hafiz ko gair‐hafiz nahi, Kya ye hafiz nabi se bhi zyada martabe ka tha jo iski shaan ghat gai, Hafiz to hafiz, khilaf e shara kaam par, Mufti ki islah bachcha bhi kar sakta hai.

Magar puchi gai surat me jis muqtadi ne imam ki ghalati Batai bad taraweeh wo sach me ghalati thi, to ye mamla Khud Imam ko qaum ko samjhana chahiye tha. Ki ye meri ghalati Thi. aur inhone sahi kaha, magar hal ye hai ki aaj, imam khud apni shaan bachane ke liye chup rehte hai, aur qaum fesla karne lagi, Un logo ko (balki imam ko bhi) shayad ye maloom nahi baz surato me Luqma dena FARZ hai baz me WAJIB or baz me JAIZ, Agar wo ghalati imam ne aisi kari ki luqma dena FARZ tha to muqtadi Ne thik kiya. 

Jaisa ki Sarkaar E Ala-Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddis E Azam farmate hai:

Imam jab aisi ghalati kare jisse namaz tut jaati ho, to uska Batana or islah karna HAR MUQTADI par FARZ-E-KIFAYA hai.

Fatawa Razawiyya: Jild:7 Page:280

SUBHAN ALLAH: Imam ne mutlakan farma diya ki “har muqtadi” Yani jo ahl ho, ye naa kaha ki ghair‐hafiz naa bataye.

Fir aage Safah: 281 par farmate hai: 

Agar ghalati aisi hai jis se wajib tark ho kar, makruh tehrimi ho, to Uska batana HAR MUKTADI par WAJIB-E-KIFAYA hai”

Fir isi Safah: par farmate hai: “Agar ghalati aisi ho ki jis se namaz me fasad naa ho naa wajib tark jab bhi Har muktadi ko batane ki IJAZAT hai.

Lo kya khoob chamakte suraj ki tarah saaf ho gaya ki. Imam ki islah har muktadi kar sakta hai, (kya hi achi misaal)

Aam muktadi (jo ghalati par qadir ho gaya ho) imam ko lukma De sakta hai, Hafiz hona zaruri nahi.

Balki baz hafiz nire jaahil hote hai, ki siwaye quran ratne ke Kuchh masail aate nahi fir apni shan bachane ke liye Ghalt masail bata dete hai maine khud kai martaba dekhe hai.

Ummid hai saail ki dil ki khaiti ko in hawalo ne hara‐bhara Kar diya hoga, Jiska sail talabgar tha, Dalil or bhi hai, magar isi par bas kiya jaata hai, Suwal or bhi hote hai, or waqt ki killlat hai.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments