Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te‐shuda jagah par bethna ya rumal rakhna kaisa
Sikander Warsi
Sikander Warsi

14 Jul 2023

1 min read

Masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te‐shuda jagah par bethna ya rumal rakhna kaisa

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: kuchh logo ko dekha gaya hai ki wo masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te‐shuda jagah par bethte hai, or baz apna rumal rakh dete hai iska kya hukm hai?

Isme chand surate ho sakti hai, Agar logo ne khud pehli saf tark karke Pichli saf me bethe hain, to ye unki Kam aqali hai, or peechhe se aane wale Is surat me agli saf me(jaha jagah khali thi) Me gaya to thik hi kiya, ki ye izzat unhone Khud khoi, chahiye the ye ki pehle awwal Saf ko bharte. Aur agar saf e awwal pehle se mukammal thi fir koi shaks Jabrnn usme aata ki to ghalat hai ki, isse saari saf kharab hone ka khatra hota hai aur namaziyon ko halat e namaz me khushu khuzu hasil nahi ho pata.

Agar pehle saf me jagah khaali thi, fir bhi koi khud jaan kar usme nahi bethta pechhe bethta hai to, gunahgar nahi, Han, saf e awwal ke swab se mehrum zarur hai, or afazal yahi tha ki pehli saf me jaata magar tark e afzal par shariat me koi gunah nahi.

Aur isi tarah bahut log wuzu karne jaate hai to saf me apna rumaal rakh dete hai. Isme bhi koi HARAJ NAHI. Yahi Bahar e shariat or Fatawa Amjadiya Jild:1 Page: 265 se zahir hai. 

Ja‐namaz par rumal rakhne me koi harj nahi Aaj maujoda dor me haal yahi hai. ki Logo pehle saf me jaana pasand nahi karte agar ye hota ki pehli saf walo ko Rs.500/‐ diye jaate to shayad ye peechhe bethne wala, fajr bad zohar ka intezar bhi karta or ghar naa jata aur isi tarah Isha bad, Fajr ka intezar karta aur saf e awwal ki jagah naa jaane deta.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

You may also read

Comments