Wahabi, Deobandi, Balki Siwaye Ahle Sunnat (Bareilvi) Imam ke, Har khabees ke Peechhe Namaz Naa padhe, Agar kahi aisi jagah ho Jahan sunni imam nahi to bad jamaat e wahabia apni namaz padhi jayegi, Aur agar din juma'h ka hai to, juma'h bad apni zohar padhi jayegi, ki wahabi ki namaz, namaz nahi.
Jaisa ki Ala Hazrat Imam Ahle Sunnat Ahmed Raza Khan farmate hai
Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.
Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 593
aur aage likhte hai
Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma'h wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe namaz batil mehez hai
Fatawa Razawiyyame aage Jild: 6, safah: 621
aur fir aage likhte hai
Wahabi ke peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq me zeher e qatil hai.
Fatawa Razawiyya Jild: 6, Safah: 633
fir aage likhte hai.
Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai
Fatawa Razawiyya Jild: 8, Safah: 452
Aur aage badte hue Imam, ummat ki rehnumai karte hai or aage likhte hai
Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai
Fatawa Razawiyya Jild: 24, Safah: 501
Itne bade Maulvi balki Aalim, balki Mufti balki Muhaddis, balki Mufassir balki Mujaddid balki Mujaddi e azam, balki Imam e AHLE SUNNAT aur Wali e kamil ke itne fatwo ke bad saaf zahir hai, Wahabi ke Peechhe namaz batil hai, jaiz nahi.
Aur fir bhi koi jaan lene ke bad bhi padhta hai to wo jahalat ke darje par kitni bulandi hasil kar chuka hai ye har ahle aql par roshan hoga.