Sawal: Agar ek shaks 1 lakh Rs chhod kar mara hai or uski 1 biwi or 1 ladka or 1 ladki hai to wo 1 lakh me se kisko kitna hissa milega irshad farmaye.
Agar mayyit ki biwi ke sath mayyit ka beta Beti (pota poti…) ho to biwi ko kul maal ka 8va hissa diya jayega. (Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:450)
Kul maal = 1 lakh Hai,
8va hissa = 12,500 (1,00,000/8=12,500)
Bachi rakam = Rs. 87,500
Agar beti ke sath mayyit ka ladka bhi ho to beti ki nisbat ladke ko do‐guna hissa banega (Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:448)
Bache maal ka do‐guna hissa yani 87500/3 = 29166.66
Yani 29166.66 + 29166.66 + 29166.66
Beti ka hissa = 29166.66
Bete ka double hissa = 58333.33 (29166.66 + 29166.66)
33 paise or 66 paise ki barabar taksim Ki wajah se beta beti ke raqam me 1 paise ka Fark, kyunki ab, aane or paise nahi chalte to Ye 1 paise ka apas me sulah kar sakte hai