Sirf Salaam keh dene se bhi salam ho jaata hai.
Jaisa ki, Ki Quran ke para: 14 ayat: 52 me lafz “salam” salam hi ke liye farmaya gaya
Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai, “Kuchh (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,” or isi me hai “salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعليکم keh diya. tab bhi Jawab ho gaya”
Musalmano ko Salaam Ka Andaz Sikhate huye. Mere AQA ALAHAZRAT IMAM AHLE SUNNAT, ASHAH AHMAD RAZA KHAN Fatawa Razawiyya Jild: 22, Page:408 Pe farmate hain,
kam se kam ٱلسَّلَٰمُ عَلَيْكُمْ aur issey behtar وَرَحْمَتُ aur sabse behtar وَبَرَكَٰتُهُ shamil karna
Aur famate hai.
ٱلسَّلَٰمُ عَلَيْكُمْ ka jawab ٱلسَّلَٰمُ عَلَيْكُمْ khehne se bhi jawb (ada) ho jayega. Magar sunnat hai ki وَعَلَيْكُمُ ٱلسَّلَامُ kahe.
AHAM MAS’ALA
Likhe hue (written) salaam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi fauran Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga,
Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki Log is (masale) se ghafil hain, Tabhi Ala Hazrat jab khat padha karte to khat Me jo salaam likha hota hai uska Jawab zuban se (fauran) Dekar, bad me aage khat padhte.
Khulasa e kalam ye hai ki, Jab shariat me Salaam kehna jaiz hai to Kam az kam salam hi kaha jaye magar. Jawab me bhi Salaam keh diya jaye Or behtar hai ki poora kare. Jaisa ki imam ne smjhaya. Magar WKS kuchh nahi hota isse parhez chahiye.