Pura Sawal: Touba ki ummeed par jaan boojh kar gunah karna kaisa? Maslan yaar abhi to mere matlab ka gaana (song) ya movie wagera aa rahi hai isko sunne ya dekhne ke baad ya iske alawa bhi koi Gunah kar lu fir touba kar lunga. Aisa karna ya sochna kaisa?
Tauba ki 4 sharait hoti hai.
- Pichle gunah par sharmindagi
- Haal me ise chhor dena
- Mustaqbil me kabhi iski taraf naa lotna
- Gunah ki talafi ho (haq wagera ke mamle me, to use de)
Agar koi shakhs filhaal to gunah chhor de magar ye ki fir kar lunga or tauba kar lunga is tarah kare to sachi toba karne walo me shumar nahi. Aur is tarah ka irada karne walo ke liye ek hadis Shuabula iman me naql hai jiske raawi ibne abbas hai, Farmate hain:
Gunah par qayam reh kar tauba karne wala, apne rab ka Mazak udane wale ki tarah hai,