Ahle qibla ki tareef yun hai
اھل القبلۃ معناه الذين اتفقوا علی ماھومن ضروريات االسالم واختلفوافی اصول سواھا واال فال نزاع فی کفرا
Sharah Maqasid or Durr e Mukhtar
Tarjuma: Yani Ahle Qibla ke ye maine he ki jo tamam Zaruriyaat e deen ko manta ho aur un ke siwa, Kuchh aqeedo me ikhtilaf rakhta hai
Hukm e takfir
Ahle qibla ko (kab) kafir kahe ya nahi?
Farmate hai Huzoor صَلَّى ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ahle Qibla se kisi ko kafir naa kaho.
التکفروا احدا من اھل القبلۃ
Kanzul ummat
Sharah Fiqh Akbar me hai: Hame apne nabi ki ye hadisen or imame‐azam ka Ye farmaan yad hai
والنکفر احدا من اھل القبلۃ
Sharah Fiqh Akbar
Tarjuma: Ahle qibla se hum kisi ko kafir nahi kehte
Durr e Mukhtar me hai:
تجوز منا کحۃ المعتزلۃ النا النکفر احدا من
اھل القبلۃ وان وقع الزامالہم فی المباحث
Tarjuma: (hum) ahle qibla ki takfeer nahi karte Agarche behes ke tor par unpe kufr ka ilzam sabit hai
Fatahul Qadeer me hai:
الحق عدم تکفير اھل القبلۃ وان وقع الزاماً لھم فی المباحث
Tarjuma: Haq Ahle qibla ki adm e takfir hai agarche (unpe) behes me lazimi tor par unpe kufr waqeh hua hai
Asl baat ye hai ki istila e aimma me ahle qibla wo hai Jo ke tamam zaruriyaat deen par iman rakhta ho (agar) in me se ek baat ka bhi munkir ho to Qata’tn, yaqeenan ijma’ann kafir murtad hai Wo bhi aisa ki jiske kufr me koi shak kare khud kafir (jiska dalail niche diye gaye hain)
Shareh maqasid me hai:
اھل القبلۃ المواظب طول العمر علی الطاعات بصدور شيئ من موجبات الکفر عنہ
Tarjuma: jis ahle qibla se koi kufr sadir ho Weh kafir hai agarche tamam ibadaten kare
Al‐ behr‐al khalaiq me hai:
من خرج بيدعتہ من اھل القبلۃ کمنکری حدوث العالم ، فال نزع فی کفر ھم النکار ھم
Tarjuma: jo koi bad aqeedgi ki wajah se ahle qibla Se kharij ho jayen, unke kufr me koi naza’a nahi
Sharah fiqh akbar me hai:
ال يکفر اھل القبلۃ اال فيما فيہ انکار ما علم مجيئہ بالضرورة اوالمجمع عليہ کاستحالل المحرمات
Taruma: Ahle qibla ko kafir naa kaha jayega, Magar jab (kaha jaega) zaruriyaat e deen ya ijm’ai Baton se kisi baat ka inkar Karen jaise, Haram ko halal jane.