Suwal se itna samajh paa raha hu ki wo puchhna chahta hai kab admi napak Ho jata hai, kab ghusl farz/wajib hota hai
5 Chize paai jaye to Insan par ghusl wajib hota Hai, jinka zikr hum aage kuchh mukhtasar Tafsil se karenge.
Mani
Mani ka apani jaga se shehwat (sex) ke sath nikalne se ghusl wajib hota hai, maslan: kisi ne gande khyal jama kar apne hi hath se (mazallah) mani nikali to ghusl wajib hai, or agar ye mani shehwat ke sath jhatke ke sath naa nikli bas gandi chiz ko dekhne se qatra ya safed pani nikla or uska nikalna maloom bhi nahi hui to wo mani nahi yani uspe ghusl wajib nahi.
Ehtilaam
Sote me mani ka nikalne se ghusl wajib hai, Isme shart hai ki. Kapde par nishan paya jaye. Agar ehtilaam hona yaad hai, ya khwab yaad hai, Magar kapde par mani ka koi nishan nahi to ghusl wajib nahi,
Dukhul
Koi mard apne sharmgah (penis) ko kisi aurat ki Sharmgah (vagina) me ya Peechhe dubar (bum) me dakhil kare. Mard, mard ki Peechhe dakhil kare, in suraton me ghusl wajib Dono par hai, chahe mani nikle ya nahi
Haiz
Jab aurat haiz se farig ho jaye to ghusl wajib hai.
Nifas
Aulad ki wiladat ke bad jo aurat ko khoon ata hai Use nifaas kehte hai, usse khoon se farig hone ke bad.
Madani Mashwara:
Yaqeenan, har aqil baligh musalman par in baato ka sikhna Farz hai, magar, baz log sharm se in choze ko nahi sikhte Or naa kisi se puchhte hai, or kabhi in bato ko kisi aalim e deen Ki bargah me jaa kar sikhte hai, Khuda bhala kare sail ka ki isne logo ke liye ye Suwal karke aasani kar di. Allah tala ise dono jahan me bhalaiyan ata kare. Or humne har chiz ka zikr saaf saaf byan Kar diya. or masail sikhne me logo ko allah ka ye farman bhi yaad rakhna chahiye ki
Quran me Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَىٰ Ka irshad hai:
Aur Allah Haq farmane me nahi sharmata
Para 22 Ayat 53