Pura Sawal: Jo shaks ye kahe ki kisi ki rooh kisi Insan ke badan me chali jati h to us par kya hukm he koi kam ilmi se kahe ya jankar Dono ka hukm batayen
Rooh ka dusre badan me aana aawa gawan kehte hai. Jo ke shariat me muhaal e sharai hai Aisa aqeeda shariat ke khilaf hai.
Aur mumkin yahi he ki aisa shakhs aisi bate jalahat ki wajah se kehta hai. Aisa shakhs gumrah he.
Jaisa ki Mufti Amjad Ali Azami Farmate hai
Yeh khayal ke woh rooh kisi dusre badan me chali aati hai, khaah woh aadmi ka badan ho ya kisi or janwar ka jis ko tanasukh or aawa gawan kehte hain, mehez batil or iska manna kufr hai.
Bahar e shariat. Jild: 1. Hissa 1. Safha 103