Sunni | Hanafi | Barelwi | Visit English Site
Fasik waliden ki tazim karni chahiye ya nai
Sikander Warsi
Sikander Warsi

18 Jul 2023

1 min read

Fasik waliden ki tazim karni chahiye ya nai

بِسۡمِ اللهِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِيۡمِ

Pura Sawal: Agar Waliden fasik ho to kya hukm he unki tazeem ki jayee gi, or fasik ladki se nikah karna kaisa hai

Fasik Waliden ki tazeem karna:

Ji. Haan waliden (parents) ki tazeem ki jayegi. Unke gunah unke or unke khuda ka mamla hai. Hame hukm he ki waliden se uff tak na karo. 

Balki Ala Hazrat ne to yaha tak farmaya ki waliden ko razi rakhna wajib hai. Fasik to fasik shariat ne to kafir waliden ke sath bhi achche suluk ki targib di hai. To kya fisq, kufr se bad kar gunah hai? 

Jab kafir waliden ka ye haal hai to fasik waliden ki tazeem kyunkar lazim naa ayegi. magr khilaf e shariat baat pe unki perwi nahi ki jayegi chahe wo naraz ho.

Behr haal khulasa e kalam ye he ki. Fasik Waliden ki bhi tazeem farz hai.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Sikander Warsi

Sikander Warsi

Hazrat Maulana Sayyid Muhammad Sikander Warsi renowned as SMS Warsi is a Sunni Muslim Scholar who follows and propagates teaching of Sunni (Barelwi) order of Islam.

Comments