Tahajjud ka koi waqt mukarrar nahi hai.
Baad Isha, kuchh der so jaane ke baad bhi Padhi jaa sakti hai. Soye bagair padhe to tahajjud nahi.
Aur logo me jo ye mash'hoor hai ki 12 ke bad tahajjud ka waqt hota hai ye ghalat hai.
Tahajjud ki rakat
Kam se kam tahajjud ki 2 rakat hai or Huzoor عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ se 8 tak sabit hain. (bahare‐shariat)
Fazilat
Aur Allah farmata hai.
In ki karwate juda hoti hai, bistaro se aur Apne rab ko pukarte hai darte hain ummid Karte or hamare diye due se kuchh khairat karte hai, To kisi jee ko nahi maloom jo aankh ki thandak in key Liye chhupa rakhi hai..sila inke kaamo ka
Al-Quran Para 21, Ayat 16‐17