Mere khayal me to naa mitti ka tel napak hai Naa uski bu napak, bas isme tez mehek hoti hai Jiski wajah se fuqaha ne ise masjid me le jane se Mana kiya.
Jaisa ki Fatawa Razawiyya Jild:8 Page:102 me hai.
Mitti ke tel me sakht badbu hai aur masjid main Badbu le jaana kisi tarah jaiz nahi.
Ye hukm uski tez khushbu ko le kar hai Mutlaqan mitti ke tel par nahi, Aur agar mitti ke tel se uski mehek jaa chuki Yaani udh chuki to masjid me le jaane me bhi Harj nahi.
Jaisa ki khud Ala-Hazrat isi Jild:8 me Page: 103 par farmate hai:
Masjid me mitti ka tel jalana haram hai, magar jabki Uski bu bilkul door kar di jaye. (yani bu naa ho to jaiz)
Aur agar mitti ka tel napak hota to khushbu khatam hone ke Baad bhi masjid me le jane ki ijazat nahi hoti.
Bas yahi zahir ho raha hai ki mitti ka tel napak nahi hai, jab tak usme koi napaki naa mil jaye.