Pura sawal: Agar kisi ne machchli (Fish) ziba ki hai or usme koi keemti moti nikla to wo moti kiska hoga. Seep (oyster) me nikle to kya hukm hai or bagair seep ke nikle toh?
Machhli ke pet me moti nikla, agar moti Seep ke andar hai to yahi khareedar malik Hai, agar seep (oyster) ke andar nahi to, khareeddar Malik nahi, shikari ko dede.
Jaisa ki, Sadr us sharia Hazrat e Allama, maulna Mufti Amjad Ali Azami par irshad Farmate hai
Machhli ka pet chak kiya us me moti nikla, Agar ye seep ke andar hai to machhli wala iska Malik hai (or) shikari ne machhli bech daali to Moti khareedar ka hai, or agar moti seep me nahi Hai to khareedar shikari ko de de
Bahar e Shariat Jild:3 Safah:325
Kyuki daur e hazir me aksar dukandaar hi machli palan karte hai, yani wo apne hi talab se shikar karke bechte hai, to wo dukandaar hi shikari ke jukm me hai,