Imame shareef ki chaurai or lambai kitni honi chahiye iska Jawab dete huye. Hazrat Allama Maulana Mufti e azam e Pakistan, Mufti Waqaruddin sahib farmate hai.
Imame ki lambai 7 hath yani 3 gaz sunnat hai. Huzoor (علیہ السلام) ka imama 7 hath ka hota bagair lambai or chhorai ki qaid ke.
(Waqarul Fatawa Jild: 2 Page: 249)
Baz ulama ne farmaya ki 12 hath ka tha.. Lihaza ehtiat yahi he ki 7 se 12 hath ki lambai ka kapda imama ho jayega or chhodai ki koi qaid nahi.
Bas jo asani se band sake Aur 1 hath ki lambai ka matlab beech ki badi ungali se kohni tak hoga.
Khulasa e kalam ye hai ki Kam se kam 3.5 (sade teen) meter ka imama bandhne se bhi asani se sunnat ada ho jayegi.