Pura Sawal: Kya mangni (Engagement) ho jane Ke bad, ladki, apne hone wale shohar se Call pe bat kar sakti hai, Ek imam sahib kehte nahi bilkul nahi kar sakti, Gunah hai haram hai.
Imam sahib ne sahi farmaya, magar meri isme Tehqeeq yahi he ki, isme ek surat hi mubah ki ho Sakti hai, ki agar shohar aalim e deen ya Qazi-e-islam ya Mufti e islam hai, Aur unke paas or bhi auraten call wagera karti hain or phone par Koi masala pata karti hai to fir iska kya jurm, (jabki waha koi alima naa ho).
Bas itni ijazat hai, bator e sail deen ka masala Ho jaise ki aajkal, program me bhi muftian kiram Ko aurate call karti hai or masala pata karti hai Jabki wo bhi gair hoti hai isi tarah. Ye bhi bas deen ki rehnumai, le sakti hai Iske alawa kuchh nahi.
Jaisa ki Ala Hazrat ne ek mukam par farmaya ki:
Jab biwi ke janaze ko dusre mard kandha de sakte hai To ye bhi shohar ko kandha dene me kya harz, (Aur ye bhi hukm bas ulama, mufti wagera ke liye hai, Aam logo ko to iski bhi ijazat nahi)
Aur Aaj kal urf aam par hai islye imam sahib ne sahi kaha.